Aye mere watan ke logo song lyrics

 "Aye Mere Watan Ke Logo" is a patriotic song written by Kavi Pradeep and composed by C. Ramchandra. It was first performed live by Lata Mangeshkar on January 27, 1963, at the National Stadium in New Delhi in the presence of Prime Minister Jawaharlal Nehru, to commemorate the Indian soldiers who died during the Sino-Indian War in 1962.

The song quickly became popular and is still regarded as one of the most iconic and emotional patriotic songs in India. The lyrics describe the sacrifice and bravery of the Indian soldiers who fought for their country, and the pain and sorrow of the families they left behind.

The song is a tribute to the soldiers who laid down their lives for their country and is a reminder to all Indians to always remember and honor their sacrifices 

Aye-mere-watan-ke-logo


Aye Mere Watan Ke Logo Lyric


Aa.. aa.. aa..aa..

Aye mere watan ke logon

Tum khub laga lo naara

Yeh shubh din hai hum sab kaa

Lehra lo tiranga pyaara


Par mat bhulo seema par

Viron ne hai pran gawayen

Kuchh yaad unhe bhi kar lo

Kuchh yaad unhe bhi kar lo

Jo laut ke ghar naa aaye

Jo laut ke ghar naa aaye


Aye mere vatan ke logon

Jara aankh me bhar lo pani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Aye mere watan ke logon

Jara aankh me bhar lo paani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Tum bhool na jao unko

Isliye suno ye kahaani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Jab ghaayal huva himalay

Khatre me padi aazadi

Jab tak thi saans lade woh

Phir apni laash bichha di


Sangeen pe dhar kar maatha

So gaye amar balidani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Jab desh me thi diwali

Woh khel rahe the holi

Jab hum baithen the gharon me

Jab hum baithen the gharon me

Woh jhel rahe the goli


The dhanya jawaan woh apne

Thi dhanya woh unki jawaani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Koi sikh koi jaat marathha

Koi sikh koi jaat marathha

Koi gurkha koi madrasi

Koi gurkha koi madrasi


Sarhad pe marne wala..

Sarhad pe marne wala

Har veer tha bhaaratbasi


Jo khoon gira parvat par

Wo khoon tha hindustani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Thi khoon se lat-pat kaaya

Phir bhi banduk uthake

Dus dus ko ek ne maara

Phir gir gaye hosh gawan ke


Jab antsamay aaya to..

Jab antsamay aaya to

Keh gaye ke ab marte hain

Khus rehna desh ke pyaaron..

Khus rehna desh ke pyaaron

Ab hum to safar karte hein

Ab hum to safar karte hein


Kya log the wo deewane

Kya log the wo abhimani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Tum bhool na jao unko

Isliye kahi ye kahaani

Jo shahid huye hain unki

Jara yaad karo kurbani


Jai Hind Jai Hind Jai Hind Ki Sena

Jai Hind Jai Hind Jai Hind Ki Sena


Jai Hind Jai Hind Jai Hind

Jai Hind Jai Hind Jai Hind

Post a Comment

welcome

Previous Post Next Post